Kahin karti hogi, woh mera, intezar
Jiski tamanna mein, phirta hoon bekaraar
Kahin baithi hogi raahon mein
Gum apni hi baahon mein
Liye khoyi si nigahon mein, khoya khoya sa pyaar
Saya ruki hogi aanchal ki
Chup hogi dhun payal ki
Hogi palkon mein kajal ki, khoyi khoyi bahaar
Kahin karti hogi...
Door zulfon ki chhaaon se,
Kehta hoon main havaon se
Usi but ki adaaon ke, afsane hazaar
Woh jo baahon mein machal jati,
Hasrat hi nikal jati,
Meri duniya badal jati, mil jata karaar
Kahin karti hogi...
Armaan hai koi paas aaye,
In hathon mein woh hath aaye,
Phir khwaabon ki ghata chhaaye, barsaaye khumaar
Unhin biti din raaton pe,
Matavaali mulaqaaton pe,
Ulfat bhari baaton pe, hum hote nisaar
Kahin karti hogi, woh mera, intezar
Jiski tamanna mein, phirta hoon bekarar
Writer(s): Majrooh Sultanpuri, R D Burman
Lyrics powered by www.musixmatch.com