Chingari koi bhadke
To sawan use bujhaaye
Sawan jo agan lagaaye
Use kaun bujhaaye
Ho use kaun bujhaaye?
Patjhad jo baag ujaade
Woh baag bahaar khilaaye
Jo baag bahaar mein ujde
Use kaun khilaaye
Ho use kaun khilaaye?
Humse mat poochho kaise
Mandir toota sapno ka
Humse mat poochho kaise
Mandir toota sapno ka
Logon ki baat nahin hai
Yeh kissa hai apno ka
Koi dushman tthes lagaaye
To meet jiya behlaaye
Man meet jo ghaav lagaaye
Use kaun mitaaye?
Na jaane kya ho jaata
Jaane hum kya kar jaate
Na jaane kya ho jaata
Jaane hum kya kar jaate
Peetein he toh zinda he
Na peetein toh maar jaate
Duniya jo pyasa rakkhe
Toh madira pyaas bujhaaye
Madira jo pyaas lagaye
Use kaun bujhaaye
Ho use kaun bujhaaye?
Maana toofan ke aage
Nehi chalta, jor kisi ka
Maana toofan ke aage
Nehi chalta, jor kisi ka
Mauton ka dosh nehi he
Ye dosh he aur kisi ka
Majhdhar mein naiya dole
To majhi paar lagayein
Majhi jo nao dubonye
Use kaun bachaaye
Ho use kaun bachaaye?
Chingari... hmm hmm hmm...
Writer(s): R.d. Burman, Anand Bakshi
Lyrics powered by www.musixmatch.com