Ho Chehra hai ya chand khila hai
Zulf ghaneri shaam hai kya
Sagar jaisi aankhon waali
Yeh to bata tera naam hai kya
Chehra hai ya chand khila hai
Zulf ghaneri shaam hai kya
Sagar jaisi aankhon waali
Yeh to bata tera naam hai kya
Arre tu kya jaane teri khatir
Kitna hai betaab yeh dil
Tu kya jaane dekh raha hai
Kaise kaise khwaab yeh dil
Dil kehta hai tu hai yahan to
Jata lamha tham jaaye
Waqt ka dariya behte behte
Is manzar mein jam jaaye
Toone deewana dil ko banaya
Is dil pe ilzam hai kya
Sagar jaisi aankhon waali
Yeh to bata tera naam hai kya
Ho aaj main tujhse door sahi
Aur tu mujhse anjaan sahi
Tera saath nahin paaoon to
Khair tera armaan sahi
Ho yeh armaan hain shor nahi ho
Khamoshi ke mele hon
Is duniya mein koi nahi ho
Hum dono hi akele hon
Tere sapne dekh raha hoon
Aur mera ab kaam hai kya
Sagar jaisi aankhon waali
Yeh to bata tera naam hai kya
Chehra hai ya chand khila hai
Zulf ghaneri shaam hai kya
Sagar jaisi aankhon waali
Yeh to bata tera naam hai kya.
Writer(s): R. D. Burman, Javed Akhtar
Lyrics powered by www.musixmatch.com