Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Tumhein dekh ke to lagta hai aise
Bahaaron ka mausam aaya ho jaise
Tumhein dekh ke to lagta hai aise
Bahaaron ka mausam aaya ho jaise
Dikhayi na deti andheron mein jyoti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Hamein jo tumhara sahara na milta
Bhanwar mein hi rehte kinara na milta
Hamein jo tumhara sahara na milta
Bhanwar mein hi rehte kinara na milta
Kinare pe bhi to leher aa duboti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Tumhein kya bataaun ke tum mere kya ho
Meri zindagi ka tum hi aasra ho
Tumhein kya bataaun ke tum mere kya ho
Meri zindagi ka tum hi aasra ho
Main aasha ki ladiyan, na reh reh piroti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Har ik gham tumhara sahenge khushi se
Karenge na shikwa kabhi bhi kisi se
Har ik gham tumhara sahenge khushi se
Karenge na shikwa kabhi bhi kisi se
Jahan mujh pe hasta, khushi mujhpe roti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Writer(s): Rahul Dev Burman
Lyrics powered by www.musixmatch.com