Panchhi banoo udti phiroon mast gagan mein
Aaj main azad hoon duniya ke chaman mein

Hillori hillori hillo hillo hillo hillori x 4
O mere jeevan mein chamka savera
O mita dil se woh gham ka andhera
O hare kheton mein gaaye koi lehraa
O yahan dil par kisi ka na pehra
Rang bahaaron ne bhara mere jeevan mein
Rang bahaaron ne bhara mere jeevan mein
Aaj main azad hoon duniya ke chaman mein
Panchhi banu udti phiru mast gagan mein
Aaj main azad hoon duniya ke chaman mein
O dil yeh chaahe baharon se kheloon
O gori nadiya ki dhaaron se kheloon
O chaand, sooraj, sitaaron se kheloon
O apni baahon mein aakash le loon
Badhti chaloon gaati chaloon apni lagan mein
Badhti chaloon gaati chaloon apni lagan mein
Aaj main azad hoon duniya ke chaman mein
Panchhi banoo udti phiroon mast gagan mein
Aaj main azad hoon duniya ke chaman mein
Hillori hillori hillo hillo hillo hillori x 4
O main to odhungi badal ka aanchal
O main to pehnungi bijli ki payal
O chheen loongi ghataon se kajal
O mera jeevan hai nadiya ki halchal
Dil se mere lahar uthe thandi pawan mein
Dil se mere lahar uthe thandi pawan mein
Aaj main azad hoon duniya ke chaman mein
Panchhi banoo udti phiroon mast gagan mein
Aaj main azad hoon duniya ke chaman mein
Panchhi banoo udti phiroon mast gagan mein
Aaj main azad hoon duniya ke chaman mein.
Writer(s): Jaikshan Shankar, Jaipuri Hasrat
Lyrics powered by www.musixmatch.com