Firte hain kabse darbadar
Ab iss nagar ab uss nagar
Ek dusre ke humsafar
Main aur meri awargi
Naa aas na har rahgujar
Na meharbaa sabki najar
Jaye toh ab jaye kidhar
Main aur meri awargi
Firte hai kabse darbadar
Main aur meri awargi
Ek din mili ek mehjabi
Tan bhi hasi jaan bhi hasi
Dil ne kaha humse wahi
Khwab ki hai manjil yahi
(2)
Fir youn huwa woh khogayi
Toh mujh ko jidd si hogayi
Layenge uss ko dhoodkar
Main aur meri awargi
Firte hai kabse darbadar
Abb iss nagar abb uss nagar
Ye dil hi tha jo sehgaya
Wo baat aisi kehgaya
Kehne ko fir kya rehgaya
Aashiquoon ka dariya behgaya
(2)
Jab kehke wo dilvar gaya
Tere liye main marrgaya
Rote hain usko raatbhar
Main aur meri awargi
Firte hai kabse darbadar
Ab iss nagar ab uss nagar
Hum bhi kabhi aabaad the
Aise kaha barbaad the
Befikr the aajaad the
Masroor the dilshaad the
(2)
Wo chaal aisi chalgaya
Hum bujhgaye dil jalgaya
Nikle jalake apna ghar
Main aur meri awargi
Firthe hai kabse darbadar
Ab iss nagar ab uss nagar
Ek doosre ke humsafar
Main aur meri awargi
Firte hai kabse darbadar
Ab iss nagar ab uss nagar
Writer(s): Javed Akhtar, Nusrat Fateh Ali Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com