Yeh Ladka Hai Allah cover

Yeh Ladka Hai Allah Lyrics

Das Lied 'Yeh Ladka Hai Allah' aus dem Film 'Kabhi Khushi Kabhie Gham' wird von Udit Narayan und Alka Yagnik gesungen un... weiterlesen
Chorus:
Banno ki mehndi kya kehna
Banno ka joda kya kehna
Banno lage hai phoolon ka gehna
Banno ki aankhen kajraari
Banno lage sab se pyaari
Banno pe jaaoon main waari waari

Male:
Ho ho, oh oh, ho oh oh oh oh, oh oh oh
(Banno ki saheli resham ki dori
Chhup chhupke sharmaaye dekhe chori chori) - 2
Yeh maane ya na maane main to ispe mar gaya
Yeh ladki haai allah, haai haai re allah - 2

Female:
(Babul ki galiyaan na chhadke jaana
Paagal deewana isko samjhaana) - 2
Dekho ji dekho yeh to mere peechhe pad gaya
Yeh ladka haai allah, haai haai re allah - 2

Male:
Lab kahe na kahe, bolti hai nazar
Pyaar nahin chhupta yaar chhupaane se

Chorus:
Pyaar nahin chhupta yaar chhupaane se

Female:
Haan, roop ghoonghat mein ho to suhaana lage
Baat nahin banti yaar bataane se

Male:
Yeh dil ki baatein dil hi jaane ya jaane khuda
Yeh ladki haai allah, haai haai re allah

Female:
Yeh ladka haai allah, haai haai re allah
Sajna

Maangne se kabhi haath milta nahin
Jodiyaan bante hai pehle se sab ki

Chorus:
Jodiyaan bante hai pehle se sab ki

Male:
Ho, leke baaraat ghar tere aaoonga main
Meri nahin yeh to marzi hai rab ki

Female:
Arre jaa re jaa yeh jhoothi moothi baatein na bana
Yeh ladka haai allah, haai haai re allah - 2

Male:
Banno ki saheli resham ki dori
Chhup chhupke sharmaaye dekhe chori chori

Female:
Babul ki galiyaan na chhadke jaana
Paagal deewana isko samjhaana

Male:
Yeh maane ya na maane main to ispe mar gaya
Yeh ladki
Yeh ladki haai allah, haai haai re allah

Female:
Yeh ladka haai allah, haai haai re allah

Male:
Eh, yeh ladki haai allah, haai haai re allah

Female:
Yeh ladka haai allah, haai haai re allah
Writer(s): Jatin Pandit, Lalitraj Pandit, Sameer Anjaan
Lyrics powered by www.musixmatch.com
Was als nächstes?

Dein Karma steigt mit jedem Klick! Teile den Guru-Link und bring Lyrics in die Welt.

Bedeutung hinter dem Text

Das Lied 'Yeh Ladka Hai Allah' aus dem Film 'Kabhi Khushi Kabhie Gham' wird von Udit Narayan und Alka Yagnik gesungen und handelt von der Verliebtheit... weiterlesen

  • Themen des Songs

  • Liebe
  • Hochzeit
  • Romantik
  • Tradition
  • Frauen
  • Verliebtheit
  • Familienwerte
  • Anziehung
  • Freundschaft
  • Schönheit
Kabhi Khushi Kabhie Gham - Yeh Ladka Hai Allah
Quelle: Youtube
0:00
0:00