Yeh lamha jo thehra hai
Mera hai ye tera hai
Yeh lamha main jee loon zara
Tujh mein khoya rahoon main
Mujh mein khoyi rahe tu
Khudko dhoondh lenge phir kabhi
Tujhse milta rahoon main
Mujhse milti rahe tu
Khud se hum milenge phir kabhi
Haa. phir kabhi
Kyun bewajah gungunaaye
Kyun bewajah muskuraaye
Palkein chamakne lagi hai
Ab khwaab kaise chupaaye
Behki si baatein kar lain
Hans hans ke aankhen bhar lain
Ye behoshiyan phir kahan
Tujhme khoya rahoon main
Mujhme khoyi rahe tu
Khud ko dhoondh lenge phir kabhi
Tujhse milta rahoon main
Mujhse milti rahe tu
Khud se hum milenge phir kabhi
Haa. phir kabhi
Dil pe taras aa raha hai
Pagal kahin ho na jaaye
Woh bhi main sun'ne laga hoon
Jo tum kabhi keh na paaye
Yeh subah phir aayegi
Yeh shamein phir aayengi
Yeh nazdeekiyaan phir kahan
Tujhme khoya rahoon main
Mujhme khoyi rahe tu
Khud ko dhoondh lenge phir kabhi
Tujhse milta rahoon main
Mujhse milti rahe tu
Khud se hum milenge phir kabhi
Haa. phir kabhi
Writer(s): Amal Israr Mallik, Manoj Muntashir Shukla
Lyrics powered by www.musixmatch.com