Khamosh rehne se dum ghutta hai
Aur bolne se zubaan, chilti hai
Darr lagta hai nange paaon mujhe
Koi kabr paaon tale hilti hai
Pareshaan hoon, zindagi se
Kya pata, kab kahan se
Maaregi zindagi
Kya pata, kab kahan se
Maaregi zindagi
Bas ke main
Zindagi se darta hoon
Bas ke main
Zindagi se darta hoon
Maut ka kya hai
Ek baar maaregi
Dhul uddne lagti hai
Jab shaam ki
Sab kaanch bhar jaate hain
Dard se
Main darta hoon, Main darta hoon
Dil jab dhadakne se thakne lage
Nend aane lagti hai tab dard se
Anjaan hoon zindagi se
Kya pata, kab kahan se
Maaregi zindagi
Bas ke main
Zindagi se darta hoon
Bas ke main
Zindagi se darta hoon
Maut ka kya hai
Ek baar maaregi
Writer(s): Gulzar, Vishal Bhardwaj
Lyrics powered by www.musixmatch.com