Tukdon ki ye, tasveer hai
Tukdon mein bhi lekin, haseen tehreer hai
Kehno ko in…, keh lijiye
Tewar bhari, jewarnuma ye zanzeer hai
Ye zindagi jua hai
Kisko yakeen hua hai
Baaziyaan na-munasib kahin, pad jaaye na
Ik tarfa safar ke
Lab pe yahi dua hai
Kahin na-gawara modh koi mudh jaaye na
(Khuda na khasta, Khuda na khasta)
(Khudaya hai udhar, Khuda na khasta)
Ik haath mein, saugaat hai
Aur doosre mein, ranjishein hai jazbaat hai
Na jaane kyun, iske liye
Kohraam mein kuch itt-minaan si baat hai
Ye zindagi dhuaan hai
Kisne ise chua hai
Titliyon ki tarah shokh hai
Udd jaaye na…
Ik tarfa safar ke
Lab pe yahi dua hai
Kahin na-gawara modh koi mudh jaaye na
(Khuda na khasta, Khuda na khasta)
(Khudaya hai udhar, Khuda na khasta)
(O… jeene ko jo aashiyaana, miyabaad hai)
(Ho… palta ussi aashiyaane mein toofan hai)
Saaiyaan…
Saaiyaan…
(Aalaap)
Itni silwatein, maajhi mein padhi
Jeene ki wajah, unse thi badhi
Ho… jaaya waqt kyun, shikwon mein kare
Adhoori hasratein, darr pe hai khadi
Ho…
Ye zindagi nasha hai
Takleef mein maza hai
Iski fitrat mein hi jung hai, chidd jaaye na
Ik tarfa safar ke
Lab pe yahi dua hai
Kahin na-gawara modh koi mudh jaaye na
(Khuda na khasta, Khuda na khasta)
(Khudaya hai udhar, Khuda na khasta)
(Khuda na khasta, Khuda na khasta)
(Khudaya hai udhar, Khuda na khasta)
Nitin nit
Writer(s): Amitabh Bhattacharya, Shankar Mahadevan, Aloyius Peter Mendonsa, Ehsaan Noorani
Lyrics powered by www.musixmatch.com