Ho aa aa...
Shisha ho ya dil ho -2,
Aakhir
Tut jata hai - 4
Lab tak aate aate
Hatho se sagar
Chut jata hai -3
Shisha ho ya dil ho,
Aakhir tut jata hai
Ho...
Kafi bas arman nahi,
Kuchh milna aasan nahi
Duniya ki majburi hai,
Phir taqdir jaruri hai
Yeh jo dushman hai aise, dono razi ho kaise
Ek ko manao to duja
Ruth jata hai -3
Shisha ho ya dil ho,
Aakhir tut jata hai
Baithe the kinare pe,
Maujo ke ishare pe
Baithe the kinare pe,
Maujo ke ishare pe
Ham khele tufano se,
Is dil ke armano se
Hamko ye malum na tha, koyi sath nahi deta -2
Majhi chod jata hai,
Saahil
Chut jata hai -3
Shisha ho ya dil ho
Aakhir
Tut jata hai - 4
Shisha ho ya dil ho
Duniya ek tamasha hai, aasha aur nirasha hai
Thode phul hai kante hai,
Jo taqdir ne bante hain
Apna apna hissa hai,
Apna apna kissa hai
Koi lut jata hai,
Koi
Loot
Jata hai -3
Shisha ho ya dil ho,
Aakhir
Tut jata hai - 4
Lab tak aate aate
Hatho se sagar
Chut jata hai -3
Shisha ho ya dil ho
Writer(s): Laxmikant-pyarelal, Anand Bakshi
Lyrics powered by www.musixmatch.com