Le kar tumhara naam jahan sir jhuka diya
Main ne usi diyar ko Kaaba bana diya
Sar jhukaya to patthar sanam ban gaye
Ishq bhatka tu had aashna ho gya
Rashk karta hai Kaaba mere kufar per
Main ne jis Bout ko pooja Khuda ho gaya
Gumrahi hai kay miraj he ishq ki
Hai janoon tu ye manzil he kon si
Us kay ghar ka pata puchte puchte
Puchne wala khud laa pata ho gaya
Main mohabbat se mouh mor leta agar
Toot parti yea bijlli kisi aur per
Mere dil ki tabahi se ye tu huwa
Kam se kam dosro ka bhala ho gaya
Waqt e ehbab per chaayi sooraj girhan
Loog Dunya Khushi Chandni Zindagi
Mere mehboob ek tere ghum kay siwa
Jo mila rastey se juda ho gaya
Karoobar e Tamanna main ye tu huwa
Un kay qadmo pe marne ka mooqa mila
Zindagi bhar tu ghata uthatey rahe
Aaj pehli dafa faida ho gaya
Aisa bhatka kay loota nahi aaj tak
Aisa bichra kay aaya nahi aaj tak
Dil bhi kambakht he kis Qadar bawla
Aap kay ghar gaya aap ka ho gaya
Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan, Iqbal Kasoori Naqibi
Lyrics powered by www.musixmatch.com