Jane wale humari mehfil say
Chaand taaro ko sath leta ja
Hum khizaan se nibah ker len ga
Tu baharo ko sath leta ja
Achi soorat ko sanwarne ki zarorat kya hai Saadgi main bhi qayamat ki ada hoti hai
Tum jo aa jate ho masjid me ada kerne namaz Tum ko maloom he kitno ki qaza hoti hai
Koi hansay tu tujhe ghum lage hansi na lage
Kay dil lagi bhi tere dil ko dil lagi na lage
Tu roz roya kre outh k chaand raato main Khuda kare tera merey begar ji na lage
Tanhai me faryaad tu ker sakta ho
Virane ko abad tu ker sakta ho
Jab chaho tumhe mil nhi sakta lekin
Jab chaho tumhe yaad tu ker sakta ho
Sochta hon kay wo kitne masoom thay
Koi bhi waqt ho hans ker guzar leta ho
Khizaan ka dor me ehad-e-bahar leta ho
Gul o se rang sitaroon se roshni le ker
Jamal-e-yaar ka naqsha utar leta ho
Us ke nazdeek ghum-e-tark e wafa kuch bhi nahi
Mutmain aesay hain wo jese huwa kuch bhi nahi Ab tu hathon se lakeeren bhi mitti jati hain
Us ko kho ker tu mere pass raha kuch b nhi
Kal bicharna tu phir ehad-e-wafa soch k bandh Abi aghaz-e-mohabbat he gaya kuch b nahi Main tu is wastay chup ho k tamasha na bane Tu smajta he mujhe tujh se gila kuch b nahi Sochta ho kay wo kitne masoom thay
Kya se kya ho gaye dekhte dekhte
Main ne pathar se jin ko banaya sanam
Wo khuda ho gaye dekhte dekhte
Jin pathro ko hum ne ataa ki thi dharkane
Wo bolne lage tu hum hi pe baras pare
Mera hathon se tarashay howay pathar k sanam Mera hi samne Bhagwan banay bethe hain Hashar hai wehshat-e-dil ki awargi
Hum se pucho mohabbat ki deewangi
Jo pata puchte the kisi ka kabhi
La pata ho gaye dekhte dekhte
Hum se ye soch ker koi wada karo
Ek waday pe umeren guzar jain gi
Ye he dunya yahan kitne ehal-e-wafa
Bewafa ho gaye dekhte dekhte
Din chup gaya sooraj ka kahi naam nhi hai
O wada shikan ab bhi teri shaam nahi hai
Shab-e-wada ye raha kerte hain baten dil se Dekhain yaar aata he pehle ka qaza aati he
Kal se be kal ho bhala khaak mujhe kal aaye
Kal ka wada tha na wo aaj aaye na wo kal aaye Roz ka intezar kon kare ap ka aitabar kon kare Ho chuka wada k kab aaiye ga dekhye ab na bhool jaiye ga
Bhala koi wada khilafi ki had he
Hisaab apne dil me laga ker tu socho
Qayamat ka din aa gaya rafta rafta
Mulaqat ka din badalte badalte
Hum se ye soch ker koi wada karo
Ek waday pe umeren guzar jain gi
Ye he dunya yahan kitne ehal-e-wafa bewafa ho gaye dekhte dekhte
Ghair ki baat tasleem kya kijye
Ab tu khud per bhi hum ko bharoosa nhi
Apna saya smajhte the jin ko kabhi
Wo juda ho gaye dekhte dekhte
Sochta ho kay wo kitne masoom thay Kya se kya ho gaye dekhte dekhte.!!
Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com