Raat yun dil mein teri khoyi hui yaad aayi
Jaise veerane mein chupke se bahaar aa jaye
Jaise sehraon mein haule se chale baad e naseem
Jaise beemaar ko bewajah karaar aa jaaye
Kitne badal gaye hain woh halaat ki tarah
Jab bhi mile hain pehli mulakaat ki tarah
Teri jafa kahun ke inayat kahoon isse
Gham bhi mila mujhe kisi saugaat ki tarah
Dil mein ghamon ki aag bhadakne lagi to hum
Roye hain phoot phoot ke barsaat ki tarah
Hum kya kisi ke husn ka sadka utaarte
Ik zindagi mili hai wo khairaat ki tarah
Bujhi hui shama ka dhuan hoon
Aur apne markaz ko ja raha hoon
Ke dil ki hasrat mit chuki hai
Ab apni hasti mita raha hoon
Teri hi surat ke dekhne ko
Buton ki tasveeren la raha hoon
Ke khoobiyan sabki jama karke
Tera tasawwur jama raha hoon
Kafan mein khud ko chhupa liya hai
Ke tujh ko parde ki ho na zehmat
Naqaab apne liye banakar
Hijaab tera utha raha hoon
Udhar wo ghar se nikal pade hain
Idhar mera dam nikal raha hai
Ilahi kaisi hai ye qayamat
Wo aa rahe hain main ja raha hoon
Muhabbat insaan ki hai fitrat
Kahaan hai ibkan e tark e ulfat
Wo aur bhi yaad aa rahe hain
Main unko jitna bhula raha hoon
Roz kehta hoon bhool jaun unhein
Roz ye baat bhool jata hoon main
Nahin aati to unki yaad barson tak nahin aati
Lekin jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain
Zubaan pe labdaik har nafas mein
Jabeen pe sajda hai har kadam pe
Yun ja raha butkade ko naatik
Ke jaise kaabe ko ja raha hoon
Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com