Kabhi To Aasmaan Se Lyrics

Der Song 'Kabhi To Aasmaan Se' von Jagjit Singh zeichnet ein wunderschönes Bild von romantischer Sehnsucht und Hoffnung.... weiterlesen
Lyrics
Kabhi toh aasmaan se chaand utare jaam ho jaaye

Tumhare naam ki ek khoobsurat shaam ho jaaye

Woh mera naam sun kar kuchh zara sharma se jaate hai

Bahut mumkin hai kal iska mohabbat naam ho jaaye

Zara sa muskurakar haal poochho dil behal jaaye

Hamara kaam ho jaaye tumhara naam ho jaaye
Hamara kaam ho jaaye tumhara naam ho jaaye
Kabhi toh aasmaan se chaand utare jaam ho jaaye

Ujale apani yaadon ke hamare saath rehne do

Na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaaye
Na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaaye
Kabhi toh aasmaan se chaand utare jaam ho jaaye
Tumhare naam ki ek khoobsurat shaam ho jaaye
Tumhare naam ki ek khoobsurat shaam ho jaaye
Shaam ho jaaye
Shaam ho jaaye
Writer(s): Jagjit Singh, Dr. Bashir Badr
Lyrics powered by www.musixmatch.com
Was als nächstes?

Dein Karma steigt mit jedem Klick! Teile den Guru-Link und bring Lyrics in die Welt.

Bedeutung hinter dem Text

Der Song 'Kabhi To Aasmaan Se' von Jagjit Singh zeichnet ein wunderschönes Bild von romantischer Sehnsucht und Hoffnung. Die wiederholte Zeile über de... weiterlesen

Jagjit Singh - Kabhi To Aasmaan Se
Quelle: Youtube
0:00
0:00