Garaj baras pyaasi dharthi par phir paani de maula
Chidiyon ko daane bacchon ko gud-dhaani de maula
Do aur do ka jod hamesha chaar kahan hota hain
Soch samajh waalon ko thodi naadaani de maula
Phir roshan kar zeher ka pyaala chamka nayee saliben
Jhooton ki duniya mein sach ko taabaani de maula
Phir moorath se bahar aakar chaaron aur bhikar ja
Phir mandir ko koi meera deewaani de maula
Tere hote koi kisi ki jaan ka dushman kyoon ho
Jeene waalon ko marne ki aasaani de maula
Writer(s): Jagjit Singh, Shameer Tandon, Nida Fazli, Priyanka R. Bala
Lyrics powered by www.musixmatch.com