Abhi Woh Kamsin Lyrics

Lyrics
Abhi wo kamsin ubhar raha hai
Abhi hai us par shabaab aadha
Abhi jigar mein khalish hai aadhi
Abhi hai mujhpar itaab aadhaa

Mere sawaal-e-wasl par
Tum nazar jhuka kar khade huye ho
Tumhi bataaO ye baat kya hai
Swaal poora jawaab aadhaa

Laga ke laare pe le toh aaya hoon
Sheikh sahaab ko maiqade tak
Agar ye do ghoont pi le
Milege mujhko sabab aadha

Kabhi sitam hai kabhi karam hai
Kabhi tawajjo kabhi tagaful
Ye saaf zaahir hai mujhse ab tak
Hua hoon main kaamyaab aadhaa
Writer(s): Ghanshyam Vaswani, Kanwar Mohinder Singh Bedi (sahar)
Lyrics powered by www.musixmatch.com
Was als nächstes?

Dein Karma steigt mit jedem Klick! Teile den Guru-Link und bring Lyrics in die Welt.

Jagjit Singh - Abhi Woh Kamsin
Quelle: Youtube
0:00
0:00