Qismat men miri chain se jeena likh de
Doobe nah kabhi mera safeenah likh de
Jannat bhi gawaarah hai magar mere liye
Ay kaatib-i taqdeer madeenah likh de
Taajdaar-i haram
Taajdaar-i haram ho nigaah-i karam
Taajdaar-i haram ho nigaah-i karam
Ham ghareebon ke din bhi sanwar jaaen ge
Haami-yi be-kasaan kya kahe ga jahaan
Haami-yi be-kasaan kya kahe ga jahaan
Aap ke dar se khaali agar jaaen ge
Taajdaar-i haram
Taajdaar-i haram
Koyi apna naheen gham ke maare hain ham
Koyi apna naheen gham ke maare hain ham
Aap ke dar pih faryaad laaye hain ham
Ho nigaah-i karam warnah chaukhat pih ham
Ho nigaah-i karam warnah chaukhat pih ham
Aap ka naam le le ke mar jaaen ge
Taajdaar-i haram
Taajdaar-i haram
Kya tum se kahoon ay ‘arab ke kunwar
Tum jaante ho man ki batiyaan
Dar furqat-i to ay ummi-laqab
Kaate nah kate hain ab ratiyaan
Tori preet men sudh-budh sab bisri
Kab tak yih rahegi be-khabari
Gaahe ba-figan duzdeedah nazar
Kabhi sun bhi to lo hamri batiyaan
Aap ke dar se koyi nah khaali gaya
Aap ke dar se koyi nah khaali gaya
Aap ke dar se koyi nah khaali gaya
Apne daaman ko bhar ke sawaali gaya
Apne daaman ko bhar ke sawaali gaya
Ho habeeb-i hazeen
Ho habeeb-i hazeen par bhi aaqa nazar
Warnah auraaq-i hasti bikhar jaaen ge
Ho habeeb-i hazeen par bhi aaqa nazar
Warnah auraaq-i hasti bikhar jaaen ge
Taajdaar-i haram
Taajdaar-i haram
Mai-kasho aao aao madeene chalen
Madeene chalen
Madeene chalen
Madeene chalen
Mai-kasho aao aao madeene chalen
Madeene chalen
Madeene chalen
????? ????
Madeene chalen
Let's go to Medina!
Aao madeene chalen
Aao madeene chalen
Isi maheene chalen
Aao madeene chalen
Aao madeene chalen
Aao madeene chalen
Isi maheene chalen
Aao madeene chalen
Tajalliyon ki ‘ajab hai faza madeene men
Tajalliyon ki ‘ajab hai faza madeene men
Nigaah-i shauq ki hai intiha madeene men
Nigaah-i shauq ki hai intiha madeene men
Gham-i hayaat nah khauf-i qaza madeene men
Gham-i hayaat nah khauf-i qaza madeene men
Namaaz-i ‘ishq karen ge ada madeene men
Namaaz-i ‘ishq karen ge ada madeene men
Ba-raah-i raast hai raah-i khuda madeene men
Aao madeene chalen
Isi maheene chalen
Aao madeene chalen
Mai-kasho aao aao madeene chalen
Mai-kasho aao aao madeene chalen
Dast-i saaqi-yi kausar se peene chalen
Dast-i saaqi-yi kausar se peene chalen
Yaad rakkho agar
Yaad rakkho agar
Yaad rakkho agar
Yaad rakkho agar
Uth gayi ik nazar
Jitne khaali hain sab jaam bhar jaaen ge
Yaad rakkho agar uth gayi ik nazar
Wuh nazar
Jitne khaali hain sab jaam bhar jaaen ge
Taajdaar-i haram
Taajdaar-i haram
Khauf-i toofaan hai bijliyon ka hai dar
Khauf-i toofaan hai bijliyon ka hai dar
Sakht mushkil hai aaqa kidhar jaaen ham
Sakht mushkil hai aaqa kidhar jaaen ham
Aap hi gar nah len ge hamaari khabar
Ham museebat ke maare kidhar jaaen ge
Aap hi gar nah len ge hamaari khabar
Ham museebat ke maare kidhar jaaen ge
Taajdaar-i haram
Taajdaar-i haram
Ya mustafa ya mujtaba irham lana irham lana
Dast-i hamah be-chaara ra, daamaan to-yi, daamaan to-yi
Man ‘aasi-yam man ‘aajiz-am man be-kas-am haal-i mara
Pursaan to-yi pursaan to-yi
Ay mushk-bed ‘ambar-fishaan
Paik-i naseem-i subh-dam
Ay chaarah-gar ‘eesa-nafas
Ay moonis-i beemaar-i gham
Ay qaasid-i farkhundah pah
Tujh ko usi gul ki qasam
In nalti ya reeh as-saba
Yauman ila ard il-haram
Balligh salaami raudatan
Feeh an-nabi yul-mohtaram
Taajdaar-i haram ho nigaah-i karam
Taajdaar-i haram ho nigaah-i karam
Ham ghareebon ke din bhi sanwar jaaen ge
Haami-yi be-kasaan kya kahe ga jahaan
Haami-yi be-kasaan kya kahe ga jahaan
Aap ke dar se khaali agar jaaen ge
Taajdaar-i haram
Taajdaar-i haram
Taajdaar-i haram
Writer(s): Maqbool Ahmed Sabri
Lyrics powered by www.musixmatch.com