Tumhe bhul jane ka haq hai agar
Hame haq muhabbat nibhane ka hai-2
Avi se tumhe kya batayen bhala
Ki anzam bhala is fasane ka hai
Tumhe bhul jane ka haq hai agar
Wafaon ke riste nahi tutte en
Yeh bandhan bandhe to nahi chutte
Jara yeh unhe bhibata de koi
Jinhe sauk daman chhurane ka hai
Tumhe bhul jane ka haq hai agar
Nazar men koi aur dil men koi
Kisi se wafa aur kisi pe sitam
Hamen tumse koi sikayat nahi
Ki dastoor sare jamane ka hai
Tumhe bhul jane ka haq hai agar
Hamare liye thi jo dil ki lagi
Kisi ke liye dillagi ban gayi
Hamen yun hasaya ki ham ro diye
Tarika naya dil lagane ka hai
Tumhe bhul jane ka haq hai agar
Hamen haq muhabbat nibhane ka hai
Avi se tumhe kya batayen bhala
Ki anzam bhala is phasane ka hai
Tumhe bhul jane ka haq hai agar.
Writer(s): Haasan Kamal, Rahul Dev Burman
Lyrics powered by www.musixmatch.com