Muddat hui hai yaar ko
Muddat hui hai yaar ko, mehmaan kiye huye
Josh e qadah se bazm chiraaghaan kiye hue
Jee dhoondta hai
Jee dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din

Baithe rahe tasavur e jaanan kiye huwe
Baithe rahe tasavur e jaanan kiye huwe
Jee dhoondta hai phie wohi fursat ke raat din
Phir jee mein hai ki dar pe kisi ke pade rahein

Sar zar e baar e minnat e
Sar zar e baar e minnat e darbaan kiye huwe
Jee dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
Maange hai phir kisi ko lab e baam par hawas

Zulf e siyaah rukh pe pareshaan kiye huwe
Jee dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
Ghalib hamein na chhed ki fir josh e ashq se
Baithe hain hum tahayya e toofaan kiye huwe
Jee dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
Baithe rahe tasavur e jaanan kiye huwe
Jee dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
Baithe rahe tasavur e jaanan kiye huwe
Jee dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
Jee dhoondta hai
Jee dhoondta hai.
Writer(s): Ali Zafar
Lyrics powered by www.musixmatch.com