Sunne walo suno ai sabhi hota hai
Dil deta hai jo
Woh chain bhi khota hai
Pyaar aisa jo karta hai kyaa mar ke bhi marta hai
Aao tum bhi aaj yeh sun lo
Daastan hai yeh ke ik tha naujavaan jo
Dil hi dil men ek haseena ka tha deewana
Woh haseena bhi ki jiski khoobsurti
Ka duniya bhar men tha mashhoor afsana
Dono ki yeh kahani hai jisko sabhi
Kehte hai om shanti om
Naujavaan ki thi aarzoo uski thi yeh hi justjoo
Os haseena men usko mile
Ishq ke sare rangroop
Naujavaan ki thi aarzoo uski thi yeh hi justjoo
Os haseena men usko mile
Ishq ke sare rangroop
Usne na jaana yeh nadani hai
Woh ret ko samjhaa ke paani hai
Kyo aisa tha kisliye tha yeh kahani hai
Dastaan hai yeh ke us dilkash haseena ke
Nigaahon dil men koi doosra hi tha
Bekhabar is baat se us naujavaan ke khwabon ka
Anjaam toh hona bura hi tha tooten
Khwaabon ki is dastan ko sabhi
Kehte hai om shanti om
Sunne walo suno aisa bhi hota hai
Koi kitna hase utna hi rota hai
Deewani hoke haseena khai kya dhoke haseena
Aao tum bhi aaj yeh sunlo
Dastaan hai yeh ke us maasoom haseena ne
Jise chaaha woh tha andar se harjaai
Sang dil se dil laga ke bewafa ke haath
Aake usne ik din maut hi paai
Ik sitam ka fasana hai jisko sabhi
Kehte hai om shanti om
Kyo koi katil samajhta nahi
Yeh jurm woh hai jo chhupta nahi
Yeh daag woh hai jo mitta nahi
Rehta hai khooni ke haath par
Khoon us haseena ka jab tha hua
Koi waha tha pauhauch toh gaya
Lekin use woh bacha na saka
Roya tha pyaar uski baat par.
(roya tha pyaar uski baat par)
Daastan hai yeh ke jo pehchaanta hai khooni ko
Woh naujavaan hai laut ke aaya
Keh rahi hai zindagi katil samajh le uske sar par
Chha chuka hai maut ka saaya
Janmo ki karmo ki hai kahani jise
Kehte hai om shanti om
Kehte hai om shanti om
Kehte hai om shanti om.
Writer(s): Javed Akhtar
Lyrics powered by www.musixmatch.com