Saqi Ki Har Nigah Pe BalKha Ke Pee Gaya
Lehroon Se Khailta Hua Lehra Ke Pee Gaya
Aye Rahmat-E-Tamaam Meri Har Khata Muaf
Mein Intiha-E-Shouq say Ghabra Ke Pee Gaya
Peeta Bagaer Izm Yeah Kab Thi Meri Majaal
Dar Pardah Chashm-E-Yaar Ki Sheh Pa Ke Pee Gaya.
Paas Rehta Hai Duur Rehta Hai
Koi Dil Mein Zaroor Rehta Hai
Jab Say Dekha Hai Un Ki Aankhon Ko
Halka Halka Suroor Rehta Hai
Aisay Rehtay Hein Koi Mere Dil Mein
Jaisay Zulmat Mein Noor Rehta Hai
Ub Adam Ka Yeah Haal Hai Har Waqt
Mast Rehta Hai Chuur Rehta Hai
Yeah Joh Halka Halka Saroor Hai
Yeah Teri Nazar Ka Qasoor Hai
Ke Sharab Peena Sikha Diya
Tera Pyar Ne, Teri Chaah Ne
Teri Behki Behki Nigaah Ne
Mujhay Ik Sharabi Bana Diya.
Sharab Kaisi Khumaar Kaisa
Yeah Sub Tumhari Nawazishein Hein
Pilai Hai Kiss Nazar Say Tu Nai
K Mujhko Apni Khabar Nahi Hai
Teri Behki Behki Nigah Nai
Mujhe Ik Sharbi bana diya...
Writer(s): Manhar, Sheikh Adam Aboowala
Lyrics powered by www.musixmatch.com