Mohe aayi na jug se laaj
Main itna zor se naachi aaj, ki ghungroo toot gaye
Mohe aayi na jug se laaj
Main itna zor se naachi aaj, ki ghungroo toot gaye
Ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye
Kuch mujh pe naya joban bhi tha
Kuch pyaar ka paagalpan bhi tha
Ek palak meri teer bani
Ek zulf meri zanzeer bani
Liya dil saajan ka jeet
Liya dil saajan ka jeet
Vo chede payaliya ne geet
Ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye,
Ki ghungroo toot gaye
Main basi thi jiske sapnon mein
Vo ginega aub mujhe apnon mein
Kehti hai meri har ungdayi
Main piya ki need chura layi
Main ban ke gayi thi chor
Main ban ke gayi thi chor
Ki meri paayal thi kamzor
Ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye,
Ki ghungroo toot gaye
Dharti pe na mere pair lage
Bin piya mujhe sub gair lage
Mujhe ang mile armanon ke
Mujhe pankh mile parvanon ke
Jub mila piya ka gaon
Jub mila piya ka gaon
To aisa latchka mera paon
Ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye,
Ki ghungroo toot gaye
Mohe aayi na jug se laaj
Main itna zor se naachi aaj, ki ghungroo toot gaye
Ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye,
Ki ghungroo toot gaye
Writer(s): Pankaj Udhas
Lyrics powered by www.musixmatch.com