(Kar chale hum fidaa jaanotan saathiyon
Ab tumhare hawale watan saathiyon)--3
Saans thumti gayi, nabz jamti gayi
Phir bhi badhte kadam ko naa rukne diya.
Cut gaye sir humare to kuch ghum nahi, Sir Himalaya ka humne naa jhukne diya.
Marte marte raha bakpan saathiyon, Ab tumhare hawale watan saathiyon.
Kar chale hum fidaa jaanotan saathiyon, Ab tumhare hawale watan saathiyon.
Zinda rehne k mausam bahot hai magar, Jaan dene ki rut roz aati nahi.
Husn aur ishq dono ko ruswa kare, vo jawani jo khoon mein nahati nahi.
Aaj dharti bani hai dulhan saathiyon, Ab tumhare hawale watan saathiyon.
Kar chale hum fidaa jaanotan saathiyon, Ab tumhare hawale watan saathiyon.
Raah kurbaniyon ki naa veraan ho, Tum sajate hi rehna naye kaafilein.
Fateh ka jashn is jashn k baad hai, Zindagi maut se mil rahi hai galey.
Baandhlo apne sir se kafan saathiyon, Ab tumhare hawale watan saathiyon.
Kar chale hum fidaa jaanotan saathiyon, Ab tumhare hawale watan saathiyon.
Khench do apne khoon se jameen par lakeer, Iss taraf aane paye na Ravan koi.
Tod do haanth agar haanth uthne lage, Chhune paye na SITA ka daaman koi.
RAM bhi tum tumhi LAKSHAMAN saathiyon, Ab tumhare hawale watan saathiyon.
Kar chale hum fidaa jaanotan saathiyon, Ab tumhare hawale watan saathiyon. Ab tumhare hawale watan saathiyon. Ab tumhare hawale watan saathiyon.
Writer(s): Madan Mohan, Kaifi Azmi
Lyrics powered by www.musixmatch.com