Tujh ko aate hi nahi chuppne ke andaaz abhi
Mere seene mein hai larzan teri avaaz abhi
(larzan=trembling)
Us ne dekha hi nahi dard ka aagaaz abhi
Ishq ko apni tamannaon pe hai naaz abhi
Tujh ko manzil pe pahunchane ka hai daava ham-dam
Mujh ko anjaam nazar aata hai aagaaz abhi
Kis qadar gosh-bar-avaaz hai khamoshi-e-shab
Koi naala ke hai fariyaad ka dar-baaz koi
(gosh=ear, naala=loud cry, dar-baaz=open door)
Mere chehre ki hansi rang-e-shikasta mera
Tere ashkon mein ‘Tabassum' ka hai andaaz abhi
(rang-e-shikasta=color of defeat)
Writer(s): Sufi Tabassum, Altaf Hussain
Lyrics powered by www.musixmatch.com