Woh dekho jala ghar kisi ka
Woh dekho jala ghar kisi ka
Yeh toote hain kiske sitaare
Woh kismat hansi aur aise hansi
Ke rone lage gham ke maare.
Woh dekho jala ghar kisi ka
Yeh toote hain kiske sitaare
Woh kismat hansi aur aise hansi
Ke rone lage gham ke maare.
Woh dekho jala ghar kisi ka
Gaya jaise jhonka hawa ka
Hamaari kushi ka zamana.
Diye hamko kismat ne aansu
Jab aaya hamein muskurana
Bina hamsafar hai sooni dagar
Kidhar jaayein hum be-sahaare
Woh dekho jala ghar kisi ka
Hain raahein kathin door manzil
Yeh chhaya hai kaisa andhera.
Ke ab chaand sooraj bhi milkar
Nahin kar sakenge savera
Ghata chhaayegi bahaar aayegi
Na aayenge woh din hamaare
Woh dekho jala ghar kisi ka
Idhar ro rahi hain yeh aankhein
Udhar aasmaan ro raha hai.
Mujhe kar ke barbaad zaalim
Pashemaan ab ho raha hai
Ye barkha kabhi to ruk jaayegi
Rukenge na aansoo hamaare
Woh dekho jala ghar kisi ka
Yeh toote hain kiske sitaare
Woh kismat hansi aur aise hansi
Ke rone lage gham ke maare
Woh dekho jala ghar kisi ka.
Writer(s): Madan Mohan, Raja Mehdi Ali Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com