Veer-Zaara
Jaane kyun, khwaabon ka mausam hai, aur main hoon
Mausam hai, aur main hoon
Jaane kyun, yaadon ki shabnam hai, aur main hoon
Shabnam hai, aur main hoon
Yaadein, laayi hain, khushiyaan bhi, aansoo bhi
Jaane kyun, ik aisa sangam hai, aur main hoon
Sangam hai, aur main hoon
• Barse jo rang itne saare, rangeen huwe sab nazaare
Barse jo rang itne saare, rangeen huwe sab nazaare
Lekin mera dil kahin bhi, lagta nahin bin tumhaare
Tumko, bas tumko, dil dhhoondhhe dil maange
Jaane kyun, har lamha ye sitam hai, aur main hoon
Ye sitam hai, aur main hoon
Jaane kyun, khwaabon ka mausam hai, aur main hoon
Mausam hai, aur main hoon.
• Ye vaadi ab so gayi hai, kohre mein hi kho gayi hai
Ye vaadi ab so gayi hai, kohre mein hi kho gayi hai
Saari fiza saans roke, gumsum si ab ho gayi hai
Saari, duniya mein, ab koyi nahin jaise
Jaane kyun, bas mera hamdam hai, aur main hoon
Hamdam hai, aur main hoon
Jaane kyun, yaadon ki shabnam hai, aur main hoon
Shabnam hai, aur main hoon
Yaadein, laayi hain, khushiyaan bhi, aansoo bhi
Jaane kyun, ik aisa sangam hai, aur main hoon
Sangam hai, aur main hoon
La la la, la la la la
Hmm… hmm… hmm… aur main hoon.
Writer(s): Javed Akhtar, Madan Mohan
Lyrics powered by www.musixmatch.com