Dil ka hai jo haal
Kaise main bataaoon
Teri tasveer aankhon mein kaise dikhaoon
In aankhon ke sapne lage hain ab muskuraane
Yeh dil ki dhadkan lagii hai ab gungunane
Nighahein uthaa
Bataade zaraa
Ki dil mein hai kya...
Yeh ankahe kya hain phasaane...
Kya hain phasaane
Jo pyaar ho gaya hai
Toh phir kaisa sharmaana... Sharmaana...
Dil ki maasoom chaahat ko kaise chupaana... Chupaana...
Tu aas paas saath hai
Haath mein jo haath hai
Dil khush hai
Khushboo teri ho saanso mein
Khwabon mein, khayalon mein
Dil khush hai...
Meherbaan samaa
Kya silsilaa hai
Dil khush hai
Jo chaaha thaa maine
Jo thaa mangaa
Vahi toh hua
Vahi toh mujhko mila hai
DIl khush mera hai
Jo pyaar ho gaya hai
Toh phir kaisa sharmaana
Dil ki maasoom chaahat ko kaise chupaana
Pal yeh churaa le milke zaraa
Yeh saanse bulaayen aaja
Khulke jeeye hum
Harr ek lamhaa
Baahein bulaayein aaja
Jo pyaar ho gaya hai
Toh phir kaisa sharmaana
Dil ki maasoom chaahat ko kaise chupaana...
Writer(s): Amrish Jha
Lyrics powered by www.musixmatch.com