Ye dil ye paagal dil mera, kyun bujh gayaa awaargi
Is dasht mein ek sheher tha, woh kya hua aawaargi.
Kal shab mujhe beshakl ki awaaz ne chaunka diya,
Main ne kaha tu kaun hai, usne kaha aawaargi.
Ik tuu ki sadiyon se mere, hamraah bhi hamraaz bhi,
Ik main ki tere naam se naa aashnaa aawaargi.
Ek ajnabi jhaunke ne jab poocha mere gham ka sabab
Sehera ki bheegi ret per, maine likha aawaargi.
Ye dard ki tanhaiyaan, ye dasht kaa viraan safar
Hum log to ukta gaye apni suna, aawaargi.
Logon bhala us sheher mein kaise jiyenge hum jahaan
Ho jurm tanhaa sochnaa, lekin sazaa aawaargi.
Kal raat tanha chaand ko dekha tha maine khwaab mein
"Mohsin" mujhe raas aayegii shaayad sada aawaargi.
Ye dil ye paagal dil mera, kyun bujh gayaa awaargi
Is dasht mein ek sheher tha, woh kya hua aawaargi.
Writer(s): Ghulam Ali
Lyrics powered by www.musixmatch.com