Tere aane kaa dhokaa saa rahaa hai
(×2)
Diyaa saa raat bhar jaltaa rahaa hai.
Tere aane ka dhoka sa raha hai.
Tere aane.
Tere aane ka
(×3)
Aane ka.
Tere aane ka dhoka sa raha ha.
Diya sa raat bhar jalta raha hai.
Tere aane ka dhoka sa raha hai.
Ajab hai raat se...
Ajab hai raat se aankhon kaa aalam,
Ye dariyaa raat bhar chadhtaa rahaa hai.
Tere aane ka dhoka sa raha hai.
Diya sa raat bhar jalta raha hai.
Tere aane ka dhoka sa raha hai...
Sunaa hai raat bhar barsa hai baadal,
Magar vo shahar jo pyaasaa rahaa hai.
Tere aane ka dhoka sa raha hai.
Vo koi dost thaa achche dinon kaa,
Jo pichhlii raat se yaad aa rahaa hai...
Tere aane ka dhoka sa raha hai...
Kise DhuuNDoge in galiyoN mein Nasir!
Chalo ab ghar chaleN, din jaa raha hai
Writer(s): Nasir Kazmi
Lyrics powered by www.musixmatch.com