Apna kaam banta, bhaad mein jaaye janta
Apna kaam banta, bhaad mein jaaye janta
Goonge behron ki nagri, kaun kisi ki sunta
Apna kaam banta, bhaad mein jaaye janta
Ye desh tha veer jawaano ka
Ab reh gaya beimano ka
Ye desh tha veer jawaano ka
Ab reh gaya beimano ka
Arey badal gaya itihaas hai
Raawan ki leela paas hai...
Raawan ki leela paas hai
Baaki sab first class hai
Aam aadmi udaas hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Paisa paisa haaye re paisa
Paisa paisa haaye re paisa
Paisa paisa haaye re paisa
Upar leke jaaun kaisa ho.
Paise ki aapa-dhaaapi hai
Bholi soorat mein paapi hai
Gar jeb mein rishvat rakh do to
Tumhe har galti ki maafi hai
Sacchai ke munh pe, taala hai
Jhoote ka bol-baala hai
Arey itna ghotala karte hain
Ye kehte nahi darte hain
Sachchai ka kaam tumhara hai
Lekin ye desh humara hai
Lekin ye desh humara hai
Lekin ye desh humara hai
Kheton mein ab bhi sookha hai
Mango-man apna bhookha hai
Kehte hain India great hai
Yahaan betiyaan unsafe hain
Arey badal gaya itihaas hai
Raawan ki leela paas hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Education neeyam tight karo
Future generation bright karo
Apna haq khud badhkar chheeno
Tum bhrastachar se fight karo
Haathon mein apne haath to do
Le lenge inko ghere mein
Abb dekhna chahte hain hum bhi iss desh ko naye savere mein
Saara jahaan humara hai
Saara jahaan humara hai
Yeh aane wali peedhi hai
Yehi development ki seedhi hai
Manzil paani hai toh bhaago
Gar chain se sona hai, jaago
Hum badlenge itihaas re
Phir milke kahein jhakkas hai
Baaki sab first class hai
Phir milke kahein jhakkas hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Writer(s): Vajid Sharafat Khan, Sajid Sharafat Khan, Irfan Kamal, Danish Sabri
Lyrics powered by www.musixmatch.com