Tanhaai, tanhaai
Dil ke raaste mein kaisi thokar maine khaayi
Toote khwaab saare, ek maayusi hai chhaayi
Har khushi so gayi, zindagi kho gayi
Tumko jo pyaar kiya
Maine to saza mein paayi tanhaai.
Tanhaai, milon hai phaili hui tanhaai
Tanhaai, tanhaai
Milon hai phaili hui tanhaai
Khwaab mein dekha tha ik aanchal
Maine apne haathon mein
Ab toote sapno ke sheeshe
Chubhte hain inn aankhon mein Kal koi tha yahin
Ab koi bhi nahin
Banke naagin jaise hai saanson mein laheraayi
Tanhaai, tanhaai, palkon pe kitne aansu hai laayi
Tanhaai, tanhaai, palkon pe kitne aansu hai laayi
Kyun aisi umeed ki maine
Jo aise naakaam hui
Door banaayi thi manzil
To raste mein hi shaam hui Ab kahaan jaaun main
Kisko samjhaaun main
Kya maine chaaha tha aur
Kyun kismat me aayi – tanhai, tanhai
Jaise andhero ki ho gehraayi
Dil ke raaste mein kaisi thokar maine khaayi
Toote khwaab saare
Ek maayusi hai chhaayi
Har khushi so gayi
Zindagi kho gayi
Tumko jo pyaar kiya maine to sazaa mein paayi
Tanhaai, tanhaai
Milon hai phaili hui tanhaai
Tanhaai, tanhaai
Milon hai phaili hui tanhaai
Tanhaai, tanhaai, tanhaai, tanhaai…
Writer(s): Shankar-ehsaan-loy, Javed Akhtar
Lyrics powered by www.musixmatch.com