La la la la la la la...
Aah ha aah ha ha ha...
Har ek muskurahat
Muskan nahi hoti
Nafrat ho ya mohabbat
Aasan nahi hoti
Aansu khushi ke gham ke
Hote hai ek jaise
In aansuo ki koi
Pehchan nahi hoti
Han
Har ek muskurahat
Muskan nahi hoti
Nafrat ho ya mohabbat
Aasan nahi hoti
Har bat hai wahi par
Matlab badal gaye hai
Dil dagmaga gaya tha
Par ham sambhal gaye hai
Aise bhi aate hai din
Jite hai log lekin
Hota hai aur sab kuch
Par jan nahi hoti
Han
Har ek muskurahat
Muskan nahi hoti
Nafrat ho ya mohabbat
Aasan nahi hoti
La la la la la la la...
Aah ha aah ha ha ha...
Hote hai is jahan mein
Chehre bhi ek jaise
Ghunghat bhi ek jaise
Sehre bhi ek jaise
Sab janti hai nazrein
Pehchanti hai nazrein
Apni parayi surat
Anjan nahi hoti
Han
Har ek muskurahat
Muskan nahi hoti
Nafrat ho ya mohabbat
Aasan nahi hoti
Kya cheez hai yeh dil bhi
Ho jaye jab akela
Rehta hai sath iske
Yadon ka ek mela
Duniya bhi chhut jaye
Har aas tut jaye
Mehfil kabhi yeh dil ki
Viran nahi hoti
Aansu khushi ke gham ke
Hote hai ek jaise
In aansuo ki koi
Pehchan nahi hoti
Han
Har ek muskurahat
Muskan nahi hoti
Nafrat ho ya mohabbat
Aasan nahi hoti
End
Writer(s): Anu Malik, Anand Bakshi
Lyrics powered by www.musixmatch.com