Yeh hai meri kahani
Khamosh zindagani
Sannata keh raha hai...
Kyun zulm seh raha hai?
Ek daastaan purani
Tanhai ki zubani
Har zakhm khill raha hai...
Kuch mujh say keh raha hai...
Chubtay kaantay yaadon kay
Daaman say, chunta hoon...
Girrti deewaron kay
Aanchal mei, zinda hoon...
Bus yeh meri kahani
Be-nishaan nishaani
Ek dard beh raha hai...
Kuch mujhsay keh raha hai
Chubtay kaantay yaadon kay
Daaman say, chunta hoon
Girrti deewaron kay
Aanchal mei, zinda hoon
Bajayay pyar ki shabnam meray gulistan mein
Barastay rehtay hain har simt maut kay sayay
Siahiyon say ulaj parti hain meri aankhain
Koi nahi
Koi bhi naee jo batayay
Kitni dair ujalon ki raah dekhoonga?
Koi nahi
Hai koi bhi nahi, na paas... na door
Ek pyaar hai, dil ki dharkan
Apni chahat ka jo aylaan kiyay jaati hai
Zindagi hai jo jiyay jaati hai
Khoon kay ghoont piyay jaati hai
Khwab kaanton say siyay jaati hai
Ab na koi paas hai
Phir bhi ehsaas hai
Siahiyon mei uljhi pari
Jeenay ki ek aas hai
Yaadon ka jungle yeh dil
Kaanton say jal-thal yeh dil
Chubtay kaanton yaadon kay
Daaman say, chunta hoon
Girrti deewaron kay
Aanchal mei, zinda hoon
Writer(s): Aloyius Mendonsa, Ehsaan Noorani, Shankar Mahadevan, Prasoon Joshi
Lyrics powered by www.musixmatch.com