Zindagi is tarah se lagne lagi
Rang ud jaaye jo deewaaron se
Ab chhupaane ko apna kuch na raha
Zakhm dikhne lage daraaron se
Ab talak sirf tujhko dekha tha
Aaj tu kya hai yeh bhi jaan liya
Aaj jab gaur se tujhe dekha
Hum galat the kahin yeh maan liya - 2
Teri har bhool mein kahin shaayad
Hum bhi shaamil hain gunahgaaron se
Ab chhupaane ko apna kuch na raha
Zakhm dikhne lage daraaron se
Aa mere saath milke hum phir se
Apne khwaabon ka ghar banaate hain
Jo bhi bikhra hai voh samet te hain
Dhoondkar phir khushi ko laate hain - 2
Bojh to zindagi ka kat ta hai
Ek duje ke hi sahaaron se
Zindagi is tarah se lagne lagi
Rang ud jaaye jo deewaaron se
Ab chhupaane ko apna kuch na raha
Zakhm dikhne lage daraaron se
Writer(s): Anu Malik, Sayeed Quadri
Lyrics powered by www.musixmatch.com