Facebook
Twitter
Problem melden

Aapke Pyaar Mein Songtext
von Raaz

Aap ke pyaar mein hum savarne lage
Dekhke aap ko hum nikharne lage
Is kadar aap se humko mohabbat hui - 2
Tootke baazuon mein bikharne lage
Aap ke pyaar mein hum savarne lage
(Aap jo is tarah se tadpaayenge
Aise aalam mein paagal ho jaayenge) - 2
Voh mil gaya jiski hamein
Kab se talaash thi
Bechain si in saanson mein
Janmon ki pyaas thi
Jism se rooh mein hum utarne lage - 2
Is kadar aap se humko mohabbat hui - 2
Tootke baazuon mein bikharne lage
Aap ke pyaar mein hum savarne lage
(Roop ki aanch se tan pighal jaayega
Aag lag jaayegi, mann machal jaayega) - 2
Yeh lab zara takraaye jo
Dilbar ke hont se
Chingaariyaan udne lagi
Shabnam ki chot se
Hum sanam had se aage guzarne lage - 2
Is kadar aap se humko mohabbat hui - 2
Tootke baazuon mein bikharne lage - 2
Aap ke pyaar mein hum savarne lage
News
Kate Hudson: Musikkarriere erforderte viel Mut
Vor 16 Stunden
Kate Hudson: Musikkarriere erforderte viel Mut
Slash kündigt neue Musik von Guns N' Roses an
Vor 18 Stunden
Slash kündigt neue Musik von Guns N' Roses an
Raaz - Aapke Pyaar Mein
Quelle: Youtube
0:00
0:00
Made with in Berlin
© 2000-2024 MusikGuru