Facebook
Twitter
Problem melden

Ae Jazba-E-Dil Songtext

Ae jazba-e-dil gar main chahoon
Har cheez muqabil aaajaye
Ae jazba-e-dil gar main chahoon
Har cheez muqabil aaajaye
Manzil ke liye do gaam chaloon
Aur saamnay manzil aaajaye
Ae jazba-e-dil gar main chahoon

Ae dil ki khalish chal yun hi sahi,
Chalta to hoon un ki mehfil main.
Ae dil ki khalish chal yun hi sahi,
Chalta to hoon un ki mehfil main.
Uss waqt mujhay chonka dena
Jab rang pai mehfil aajaye.
Uss waqt mujhay chonka dena
Jab rang pai mehfil aajaye.
Ae jazba-e-dil gar main chahoon

Ae rahbar-e-kamil chalnay ko,
Taiyaar to hoon par yaad rahay.
Ae rahbar-e-kamil chalnay ko,
Taiyaar to hoon par yaad rahay.
Uss waqt mujhay bhatka dena
Jab saamnay manzil aaajaye
Uss waqt mujhay bhatka dena
Jab saamnay manzil aaajaye
Ae jazba-e-dil gar main chahoon

Haan yaad mujhay tum kar lena,
Awaz mujhay tum delaina.
Haan yaad mujhay tum kar lena,
Awaz mujhay tum delaina.
Iss rah-e-muhabbat mein koi
Darpaish jo mushkil aaajaye
Iss rah-e-muhabbat mein koi
Darpaish jo mushkil aaajaye
Ae jazba-e-dil gar main chahoon,

Ab kyun DhounDhoon vo chashm-e-karam, hone de sitam bala-e-sitam
Ab kyun DhounDhoon vo chashm-e-karam, hone de sitam bala-e-sitam
Main chaahta hoon ai jazba-e-Gham, mushkil pas-e-mushkil aa jaaye.
Main chaahta hoon ai jazba-e-Gham, mushkil pas-e-mushkil aa jaaye.

Ae jazba-e-dil gar main chahoon,
Har cheez muqabil aaajaye.
Manzil ke liye do gaam chaloon
Aur saamnay manzil aaajaye
Ae jazba-e-dil gar main chahoon
News
Dua Lipa: Sie wünscht sich Cyndi Lauper als Glastonbury-Gast
Vor 2 Tagen
Dua Lipa: Sie wünscht sich Cyndi Lauper als Glastonbury-Gast
Take That: Ebenfalls Konzert in Manchester abgesagt
Vor 2 Tagen
Take That: Ebenfalls Konzert in Manchester abgesagt
Nayyara Noor - Ae Jazba-E-Dil
Quelle: Youtube
0:00
0:00
Made with in Berlin
© 2000-2024 MusikGuru