Jise banaya tha data ne dharti ka wardan re
Jise banaya tha mali ne sach much hi insan re
Nafrat ki ek hi thokar ne ye kya se kya kar dala re
Ye kya se kya kar dala re kya se kya kar dala
Apne hi lahu ka pyasa hai apne hi lahu ka pyasa hai
Nafrat ko mitane wala re nafrat ko mitane wala re
Kya se kya kar dala nafrat ki ek hi thokar ne
Makhan ki rah jiska man tha fagun ki tarah jo khilta tha
Sawan ki tarah jo chalta tha badal ki tarah jo lipatta tha
Barud ne aise fariste ko barud ne ha fariste ko
Rang dala kitna kala re rang dala kitna kala re
Kya se kya kar dala nafrat ki ek hi thokar ne
Ye apna paraya bhul gaya ye apna paraya bhul gaya
Bas khun ki holi yaad rahi ise khun ki holi yaad rahi
Dulhan ka dola bhul gaya dulhan ka dola bhul gaya
Bas maut ki soli yaad rahi ise bas maut ki soli yaad rahi
Awtar fariste bhul gaya awtar fariste bhul gaya
Nafrat ko mitane wala re nafrat ko mitane wala re
Ye kya se kya kar dala nafrat ki ek hi thokar ne
Insan ke yahi karte war hai to pyar ka akhir kya hoga
Insan pe dharti mata ke upkar ka akhir kya hoga
Ab kaun hai malik tere siwa ab kaun hai malik tere siwa
Is dunia ka rakhwala re is dunia ka rakhwala re
Nafrat ki ek hi thokar ne ye kya se kya kar dala re
Ye kya se kya kar dala re kya se kya kar dala re
Writer(s): Jaidev, Balkavi Bairagi
Lyrics powered by www.musixmatch.com