Lahraati Hui Raahein,
Khole Hue Hain Baanhein
Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahaan
Palkon Pe Gahre Halke,
Hai Reshmi Dhundhlake Ke
Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahaan…
Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahaan…
Woh Dekho Zara Parbaton Pe Ghataayehin
Humaari Daastaan Hole Se Sunaayeh
Suno To Zara Yeh Phoolon Ki Vaadi
Humaari Hi Koi Kahaani Hai Sunaati
Sapnon Ke Is Nagar Mein
Yaadon Ki Rahguzar Mein
Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahaan…
Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahaan…
Jo Raahon Mein Hai Rut Ne Sona Bikheraa
Sunehraa Hua Tera Mera Savera
Zamin So Gayi Baraf Ki Chaadron Mein
Bas Ek Aag Si Jalti Hai Do Dilon Mein
Havaayehin Sansanaayehin
Badan Kaanp Jaayehin
Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahaan…
Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahaan…
Yeh Barsaat Bhi Kab Thume Kaun Jaane
Tumhein Mil Gaye Pyaar Ke Sau Bahaane
Sitaaron Ki Hai Jaise Barat Aayi
Humaare Liyeh Raat Yun Dagmagayi
Sapne Bhi Jhilmilaayehin
Dil Mein Diyeh Jalaayehin
Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahaan
Haan Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahaan…
Haan Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahaan…
Writer(s): Madan Mohan, Javed Akhtar
Lyrics powered by www.musixmatch.com