Tod diya dil mera
Meri khata kutch bhi nahi
Mujhpe sitam phir kyon kiya
Kutch toh seene mein reh gaye
Kutch toh ashko mein beh gaye
Kutch toh armaan tham gaye
Kutch lahu mein hi jam gaye
Tu ne di mujhko bewajah
Pyar karne ki yeh saja
Shukriya tera
Tod diya dil mera
Meri khata kutch bhi nahi
Mujhpe sitam phir kyon kiya
Seela mila hain kya mujhko meri wafaao ka
Mil gaye hain saare sapne khak mein
Sanam namuna ka kya du main
Teri jafao ka
Dab gayi hain meri saansein raakh mein
Main toh deewana tha
Maine toh na jaana tha
Ab na kutch bhi khayal
Har taraf bas malal hain
Jeena bhi toh mohal hain
Shukriya tera
Tod diya dil mera
Meri khata kutch bhi nahi
Mujhpe sitam phir kyon kiya
Luta hu main lut jaaunga teri mohabbat mein
Dard bhi utha lunga mein shool ke
Meeta hu main meet jaunga teri hi chahat mein
Jee sakunga ab na tujhko bhool ke
Tu toh bedardi hain par yeh meri marzi hain
Chain mujhko haram hain
Dhadkanon ka payam hain
Zindagi tere naam hain
Shukriya tera
(tod diya dil mera
Meri khata kutch bhi nahi
Mujhpe sitam phir kyon kiya) - 2
Writer(s): Sameer Lalji Pandey, M M Kreem
Lyrics powered by www.musixmatch.com