Kehne ko jashn-e-bahaara hai
Ishq yeh dekhke hairan hai -
(2)
Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein
Chupa hai koyi ranj fija ki chilman mein
Sare sehmein nazare hain
Soye soye waqt ke dhaare hain
Aur dil mein koyi khoyi si baten hain ooooo hooo
Kehne ko jashn-e-bahaara hai
Ishq yeh dekhke hairan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein
Chupa hai koyi ranj fija ki chilman mein
Kaise kahen kya hai sitam
Sochte hai ab yeh hum
Koyi kaise kahen woh hai ya nahi humaare
Karte toh hai saath safar
Faasale hain phir bhi magar
Jaise milte nahi kisi dariya ke do kinaare
Paas hain phir bhi paas nahi
Humko yeh gum raas nahi
Seeshe ki ek diware hai jaise darmiya
Sare sehmein nazare hain
Soye soye waqt ke dhaare hain
Aur dil mein koyi khoyi si baten hain ooooo hooo
Kehne ko jashn-e-bahaara hai
Ishq yeh dekhke hairan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein
Chupa hai koyi ranj fija ki chilman mein
Hum ne jo tha nagma suna
Dil ne tha usako chuna
Yeh dastaan humein waqt ne kaisi sunayi
Hum jo agar hai gumgee
Woh bhi udhar khush toh nahi
Mulakato mein hai jaise ghul si gai tanhai
Milke bhi hum milte nahi
Khilke bhi gul khilte nahi
Aankhon mein hai bahaaren
Dil mein khiza
Sare sehmein nazare hain
Soye soye waqt ke dhaare hain
Aur dil mein koyi khoyi si baten hain ooooo hooo
Kehne ko jashn-e-bahaara hai
Ishq yeh dekhke hairan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein
Chupa hai koyi ranj fija ki chilman mein
Writer(s): Javed Akhtar, A R Rahman
Lyrics powered by www.musixmatch.com