Aur Kya Lyrics

Lyrics
Tum aaye to hawaaon mein ek nasha hai
Tum aaye to fizaaon mein rang sa hai
Yeh rang saare hai bas tumhare
Aur kya, aur kya, aur kya - 2

Tum aaye to hawaaon mein ek nasha hai
Tum aaye to fizaaon mein rang sa hai
Yeh rang saare hai bas tumhare
Aur kya, aur kya, aur kya

Eh hey hey, aah haa haa - 2
Tum aaye ho to dekh lo
Naya naya sa lage yeh jahaan, ho
Haan haan haan haan haan, oh ho

Haseen haseen hai yeh zameen
Dhula dhula sa hai yeh aasmaan
Tum ho to hai yeh samaa
Aur kya, aur kya, aur kya, aur kya

Dhadak raha hai dil mera
Jhuki jhuki hai palkein yahan, ho
Haan haan haan haan haan, oh ho

Jo dil mein ho, voh keh bhi do
Ruki ruki si hai yeh daastaan
Jazbaat maange jubaan
Aur kya, aur kya, aur kya, aur kya

Tum aaye to hawaaon mein ek nasha hai
Tum aaye to fizaaon mein rang saa hai

Yeh rang saare hai bas tumhare

Aur kya, aur kya, aur kya - 2
Writer(s): Jatin Pandit, Lalitraj Pandit
Lyrics powered by www.musixmatch.com
Was als nächstes?

Dein Karma steigt mit jedem Klick! Teile den Guru-Link und bring Lyrics in die Welt.

Jatin-Lalit - Aur Kya
Quelle: Youtube
0:00
0:00