Sab ki baaraatein aayi doli tu bhi laana - 2
Dulhan banaake humko rajaji le jaana
Sab ki baaraatein aayi
Chaaha tha maine, socha tha maine
Kya kya the armaan dil nadaan ke
Aankhon mein aansu aaye
Ho, aankhon mein aansu aaye par koi na aaya
Ab to kisi ko bhi apna ke hai bulaana
Sab ki baaraatein aayi
In aankhon mein thi ek raat saji
Haathon mein kabhi choodi si baji
Par aankh khuli to aaya nazar na raat saji na choodi baji
Mera toota tha dil, uski jhankar thi
Saara voh rang tha mere khoone dil ka
Yeh to hai rona dil ka
Haan, yeh to hai rona dil ka kaahe ka taraana
Ab to kisi ko bhi apna ke hai bulaana
Sab ki baaraatein aayi doli tu bhi laana
Dulhan banaake humko rajaji le jaana
Sab ki baaraatein aayi
Aa aah, aa aah, aa aah
Chalo jo bhi hua, voh khoob hua
Ab har koi mehboob hua
Hai sab ke liye yeh raat meri ab to hai yehi aukaat meri
Haske bheege palak chamkaana hai
Sooni baahein ada se laheraana hai
Gham khaake aansu peeke
Ho, gham khaake aansu peeke mehfil mein gaana
Ab to kisi ko bhi apna ke hai bulaana
(Sab ki baaraatein aayi doli tu bhi laana
Dulhan banaake humko rajaji le jaana) - 2
Sab ki baaraatein aayi
Aa aah
Lyrics powered by www.musixmatch.com