Aaj purani rahon se
Koi mujhe aawaz na de
Dard mein doobey geet na de
Gham ka sisakta saz na de
Beete dinon ki yaad thi jinmein
Maein woh tarane bhool chuka
Aaj nai manzil hai meri,
Kal ke thikaane bhool chuka
Na woh dil na sanam,
Na woh deen dharam
Ab door hoon sare gunahon se
Aaj purani rahon se
Koi mujhe aawaz na de
Toot chuke sab pyar ke bandhan
Aaj koi zanjeer nahin,
Sheesha-e-dil mein armaanon ki,
Aaj koi tasveer nahin
Ab shaad hoon maein aazad hoon maein,
Kuch kaam nahin hai aahon se,
Aaj purani rahon se
Koi mujhe aawaz na de
Jeevan badalaa, duniyaan badalee,
Man ko anokhaa gyaan milaa
Aaj mujhe apane hee dil me, ek nayaa insaan mila
Pahuchaa hoo wahaa, naheen door jahaa
Bhagwaan bhee meri nigaahon se
Aaj purani rahon se
Koi mujhe aawaz na de
Writer(s): Shakeel Badayuni, Naushad Ali
Lyrics powered by www.musixmatch.com