Mera chaand mujhe aaya hai nazar
Mera chaand mujhe aaya hai nazar
Ae raat, zara tham-tham ke guzar
Ae raat, zara tham-tham ke guzar
Chhaya hai nasha meri aankhon par
Chhaya hai nasha meri aankhon par
Ae raat, zara tham-tham ke guzar
Ae raat, zara tham-tham ke guzar
Mera chaand mujhe aaya hai nazar
Mere dil mein hain armaan kayi-kayi
Meri chaahat hai abhi nayi-nayi
Mere dil mein hain armaan kayi-kayi
Meri chaahat hai abhi nayi-nayi
Reh jaaye na pyaasa pyaar mera
Meri baahon mein bhar de yaar mera
Itna sa karam tu kar mujh par
Itna sa karam tu kar mujh par
Ae raat, zara tham-tham ke guzar
Ae raat, zara tham-tham ke guzar
Mera chaand mujhe aaya hai nazar
Abhi labon ko labon ne chhua nahin
Armaan koi poora hua nahin
Abhi labon ko labon ne chhua nahin
Armaan koi poora hua nahin
Abhi aas ka gulshan khilna hai
Abhi do jismon ko milna hai
Dekhoonga abhi main woh manzar
Dekhoonga abhi main woh manzar
Ae raat, zara tham-tham ke guzar
Ae raat, zara tham-tham ke guzar
Mera chaand mujhe aaya hai nazar
Mera chaand mujhe aaya hai nazar
Ae raat, zara tham-tham ke guzar
Ae raat, zara tham-tham ke guzar
Mera chaand mujhe aaya hai nazar
Aaya hai nazar, aaya hai nazar
Writer(s): Jatin Lalit, Indeewar
Lyrics powered by www.musixmatch.com